Pehli bar jb unse nazre mili…
Mere hatho se meri kitabein giri…
Vo aa rahi thi meri taraf hi…
Us pal mere dil ki dhadkanein badhi…
Usne pucha mujhse kitabon ki dukan…
Mere maan me bane kuch sapno ke makan…
Use bataya mene dukaan ka rasta…
Mene sath jane ko pucha deke insaniyat ka vasta…
Uski meethi awaz ne mera dil chura liya tha…
Us dukan vale ne vaha ek note laga diya tha…
Kitabon ki kami h dukan rahegi band…
Mere dil me jagi ek choti si umang…
Mene kaha bs kuch din ki hai baat…
Tabhi achanak shuru hone lagi barsat…
Hum bhag kr gae kinare khade hue us dukan ke neeche…
Bijli kadakte hi mene dekha use apni bahon k beech m…
Dari sehmi si thi vo mere kareeb…
Mene khud ko samjha bohot khushnaseeb…
Tabhi barsat ho gai band…
Vo pareshan hui us dukan ke hone se band…
Mene kaha meri kitabein le kana…
Jab dukan khul jae tb mujhe vapis kr nai le jana…
Usne kaha tumhe bhi to chahie thi…
Mene kaha ye to gaalti se pichli class ki le li thi…
Usne vo kitabein fir mujhse li…
Fir humne number ki adla badli kii…
Vo muskura kr vaha se jane lagi…
Mere dil ki bechaini badhane lagi…
Mene mangi dua usse kai mulakatein ho…
Jaisi aj thi vesi yaadgar fir barsatein ho…
Agle din school me gaya jaldi tha me…
Khali classroom m baitha vo pal yaad kr raha tha me…
Kuch der baad kisi ne mujhpe pen feka…
Tabhi us ladki ko mene apni class me aate dekha…
Mere chehre pr ek alg khushi aa gai thi…
Mene baat shuru hi ki tabhi achanak uski dost aa gai thi…
Class shuru hui teacher ne mujhe danta…
Mere pas kitaab nahi thi aur class me tha kafi sannata…
Class akhir khatam hui aur hua lunch break shuru…
Ban gae dosto k group aur charcha hui fir shuru…
Mere dhyan to uspr tha vo tabhi achanak aai mere paas…
Vo puchne lagi kitabon ka tabhi mene keh dia kyuki tum ho khaas…
Vo muskura kr chli gai shayad smjh aa gai thi use sari baat…
Jo guzari thi uski duao me humne shayad kaam aa gai vo raat…
Har roz kuch nai kahani banti rahi…
Humari dosti ese hi jamti rahi…
Ek mauka uska birthday ka aya…
Mene use fir sab bataya…
Uski muskurahat pr kese ye dil hara mene…
Vo sara raaz mene use bataya…
Vo muskurai aur sharma gai…
Shayad meri zindagi ki sabse khubsurat ghadi aa gai…
Usne tabhi kuch esa kaha…
Kisi bijli k jhatke k jaisa kaha…
Vo pehle se kisi or ki h…
Usne mujhe esa kaha…
Mene muskura kr halato ko smbhala…
Sabhi jazbaton ko apne andr daba dala…
Galti apni smjh me sb kuch bhul gaya…
Aage badhte hue khud hi sambhal gaya…
Use dekh aj bhi dil me kuch kuch hota h…
Kash koi bata de ye ek tarfa pyar esa ku hota h…