Chupaya na kro sanam humse ye chehra…
Ise to har roz hum sapno me dekha karte h…
Befizul hi itni mehnat krti ho apne makeup pr…
Hum to yu hi tumpe mara karte h…
Me shabd bayan kar du teri khubsurati par…
Zaman jalne lagta hai…
Jo khamosh rahu ek roz kabhi…
To ye dil pighalne lagta hai…
Me bayan kar du tere husan ki tareef…
Khudgarz logo ka kya hai…
Ye chand ye suraj sab kamzor hai bayan karne ko…
Bs ye dil ek sahi alfaaz khojne lagta hai…
Likhte hum zamane se chup kr h…
Samajh jaya karo sanam kuch khud se bhi…
Jin shayari me sanam ki jagah khali dikhe…
Vo bhar liya karo apne name se hi…
Vajah hazaron thi likhne ki…
Likhwaya fir bhi tumne hi…
To ku kehti ho sanam har bar mujhse…
K kuch likh do mere bare me bhi…
Labzon p zikar tera ho…
Ankho p ishq ka pehera ho…
Hum dhundh hi lenge ek esa jahan…
Jaha tu sirf mera ho…
Bahein khol intazar tumhara karte rahenge…
Tumse milne k bahane bhi hum banate rahenge…
Tum bs apni adaon ko mere liye bacha kr rakhna sanam…
Verna yu hi tumhare ashiq badhte rahenge…
Tere liye to chand tare bhi tod lau…
Mgr fir baki shayar kispr likhenge…
Tujhe to apna bhi nahi bana sakta sanam…
Verna baki ashiq kispe marenge…
Ab sajda karo ya gurur uperwale ne tumhe raj ke banaya hai…
hazaron sitaron k beech ek pyara sa chand dharti par utara hai…
Tareef karu me jhuti to puch lena us aine se…
Vo bhi tumhe dekh khamosh na he to kr dena shikayat humari zamane se…
Dil chura leti ho kabhi ghabrao to sahi…
Yu pyari nazaren humse milao to sahi…
Kwahishein hazaron hai dil mein padh lena meri ankhon se…
Sharma kr baat yu adhuri chord na dena tum kabhi…
Me likh du dil ki baatein sari…
Tum padhogi kya…
Ek safar sajaya hai sath tere…
Tum chalogi kya…
Har koshish kar chuke hai tujhe pane ki…
Sach batana har bar ki tarah is bar bhi muh mod logi kya…
Nahi janta har bar is dil ko kyu tujhpe haar jata hu…
Teri in ankkhon me na jane kese gir jata hu…
Ek choti si gizarish age puri ho jae…
To tere in mulayam galon ko chuna chahta hu…